Monday, 18 March 2013
Dil Khulta Hai Wahan Sohbatain Rindana Jahan Ho
Poet Meer Taqi Meer
Dil Khulta Hai Wahan Sohbatain Rindana Jahan Ho,
Main Khush Hon Us Shehr Se Maikhana Jahan Ho,
In Ujari Hoi Bastion Mein Ab Dil Nahi Lagta,
Hai Jee Mein Wahein Ja Basain Weerana Jahan Ho,
Yaro Mujhe Maf Rakho Main Nashe Mein Hon,
Ab Do To Jaam Khali Hi Do
Main Nashe Mein Hon,
Yaro Mujhe Maf Rakho Main Nashe Mein Hon,
Masti Se Dar Humain Hai Meri Guftago K Beech,
Jo Chaho Tum Mujh Ko Kaho Main Nashe Mein Hon,
Yaro Mujhe Maf Rakho Main Nashe Mein Hon,
Ya To Hath Do Mujhe Manind-e-Jaam Mein,
Ya Thori Door Sath Chalo Main Nashe Mein Hon,
Yaro Mujhe Maf Rakho Main Nashe Mein Hon,
Nazuk Mizaj Aap Qayamat Hain Meer jee,
Jo Shisha Mere Moonh Na Lago Main Nashe Mein Hon,
Yaro Mujhe Maf Rakho Main Nashe Mein Hon.........!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Dil Khulta Hai Wahan Sohbatain Rindana Jahan Ho”
Post a Comment