Monday, 18 March 2013
Main Tujhe Bhoolna Chahon Bhi To Na Mumkin Hai
Poet Athar Nasik
Main Tujhe Bhoolna Chahon Bhi To Na Mumkin Hai,
Too Meri Pehli Mohabbat Hai Mera Mohsin Hai,
Main Usay Na Jano Jo Tere Sang Nahi,
Main Usay Sham Na Manoon Jo Tere Bin Hai,
Kaisa Manzar Hai Tere Hijar K Pass-e-Manzar Ka,
Reeg Sehra Hai Rawaan Aur Hawa Sakin Hai,
Teri Aankhon Se Teri Baton Se Lagta To Nahi,
Mere Ahbab Mere Aziz Kehte Hain K Tum Kamsin Hai,
Abhi Kuch Dair Mein Ho Jaye Ga Aangan Jal Thal,
Abhi Aaghaz Hai Barish Ka Abhi Kin Min Hai,
Ayein Mumkin Hai Kal Waqt Faqt Mera Ho,
Aaj Muthi Mein Aaya Howa Pehla Din Hai,
Aaj Ka Din To Bahut Khair Se Guzra Nasik,
Kal Ki Kion Fikar Karon Kal Ka Khuda Zamin Hai..............!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Main Tujhe Bhoolna Chahon Bhi To Na Mumkin Hai”
Post a Comment