Monday, 18 March 2013
Roodad-e-Qafas Yad Na Andaz-e-Fughan Yad
Roodad-e-Qafas Yad Na Andaz-e-Fughan Yad,
Jo Beet Gai Beet Gai Ab Wo Kahan Yad,
Tum Bhool Gaye Hum Ko To Kia Is Mein Ta'ajub,
Is Dor Mein Karta Hai Kise Kon Kahan Yad,
Kafi Thi Tabahi K Liye Gardish-e-Doran,
TUM Aise Mein Kion Aa Gaye Aaye Jan-e-Jahan Yad,
Apno Se Raqabat Ka Ye Aalam Hai K Tauba,
Hum Bhool Gaye Khud Ko Wo Aaye Hain Jahan Yad,
Maazi K Dareeche Se Kabhi Jhank K Dekho,
Shayad Tumhain Aa Jaye Mera Naam-o-Nishan Yad................!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Roodad-e-Qafas Yad Na Andaz-e-Fughan Yad”
Post a Comment