Tuesday, 16 April 2013

Chalo K Koocha-E-Dil-Daar Chal K Daikhte Hain


Poet: Ahmad Faraz

Type By

*._Ayaz Khan_.*

Chalo K Koocha-E-Dil-Daar Chal K Daikhte Hain.

Kisay kisay Hai Ye Aazaar Chal K Daikhte hain.

Suna Hai Aesa Masiha Kahen Se Aaya Hai.

K Us Ko Shehr K Bemaar Chal K Daikhte Hain.

Hum Apne Butt Ko, Zulaikha Liye Hai Yousuf Ko.

Hai Kaon Ronaq-E-Bazaar Chal K Daikhte Hain.

Suna Hai deer-O-Haram Main To Wo Nahi Milta.

Soo Ab K Us ko Sar-E-Daar Chal K Daikhte Hain.

Us Aik Shakhs Ko Daikho To Aankh Bharti Nahi.

Us Aik shakhs Ko Har Baar Chal K Daikhte Hain.

Wo Mere Ghar Ka Kare Qasad Jab To Saaye Se.

Kaii Qadam Dar-E-Dewaar Chal K Daikhte Hain.

FARAZ, Aseer Hai Us Ka Wo FARAZ Ka Hai.

Hai Kaon Kais Ka Garaftaar Chal K Daikhte Hain.....!

Book: Ghazal Baha Na Karon

Page:71 to 72

Ghazal: 29

0 Responses to “Chalo K Koocha-E-Dil-Daar Chal K Daikhte Hain”

Post a Comment