Sunday, 26 May 2013

Har Humsafar Hai Aabla Pa Dekhte Raho


 

Poet: Ahmad Faraz

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Har Humsafar Hai Aabla Pa Dekhte Raho.

Yaro Palat Palat K Zara Dekhte Raho.

Kais Kais Ko Apni Apni Rafaqt Pe Zam Hai.

Hota Hai Kon Kon Juda Dekhte Raho.

Har Fasal-E-Gul Hai Ghair-Yaqeeni Si in Dinon.

Sar Sar Chale K Bad-E-Saba Dekhte Raho.

Sunte Raho K Waqt Ne Badli Hai Ragni.

Dam Bhar Mein inqalab Howa Dekhte Raho.

Tha Kal To Aik Naraye Mansoor Bhi Garaan.

Aur Ab K Senkrron Hain Khuda Dekhte Raho.

Yaro Palak Jhapkte Hi Lotte Hain Qafle.

Yan Kudkashi Hai Lagzish-E-Pa Dekhte Raho.

Ehbaab Koye Dar-O-Rasn Tak Phunch Gaye.

Aur Tum FARAZ Dast-E-Saba Dekhte Ho.....!

Book

Tanha Tanha

Page No: 81 to 82

Ghazal No: 44

 

0 Responses to “Har Humsafar Hai Aabla Pa Dekhte Raho”

Post a Comment