Friday, 24 May 2013
Jab Main Chota Sa Ek Larka Tha
================
HATH KI LAKEER
================
Poet Wasi SHAH
Jab Main Chota Sa Ek Larka Tha,
Raah Main Ek Najoomi Ne Mujhe Roka Tha,
Ghor Se Dekha Tha Us Ne Meri Hatheli Ko,
Jaise Boojay Koi Kisi Paheli Ko,
Kuch Dair Youn Hi Wo Dekhta Raha,
Phir Aah Bhari Aur Kehne Laga,
Aay Bache Ye Jo Tere Hathon Ki Lakeerain Hain
In Mein Maine Tera Jeevan Dekha Hai,
Ek Khoobsorat Larki Tere Dil Ko Tore Gi
Ek Bhi Sapna Tere Pas Na Chore Gi
Too Ro Ro K Hath Barhaye Ga
Par Chanda Tere Hath Na Aaye Ga
Aay Bache Ye Too Kia Likhwa Laya Hai
Gham Hi Gham Tere Hise Mein Aya Hai
Ek Din Tujh Pe Aisa Bhi Waqt Aana Hai
Log Kahen ge Pagal Hai, Deewana Hai
Bhatke Ga Dar-o-Deewaar Aas Liye
Mar Jaye Ga Nadi Kinare Piyas Liye
Ghamon Ka Itna Lamba Saath Nahi Dekha
Main Ne Aaj Tak Aisa Hath Nahi Dekha.........!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Jab Main Chota Sa Ek Larka Tha”
Post a Comment