Thursday, 23 May 2013
Kia Kia Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye
Poetess Parveen Shakir
Kia Kia Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye,
Hum Jagte Rahe Thay Magar Bakht So Gaye,
Us Ne Payam Bheje To Raste Mein Reh Gaye,
Hum Ne Jo Khat Likhe Wo Hawa Burd Ho Gaye,
Main Shehr-E-Gul Mein Zakham Ka Chehra Kise Dekhaon,
Shabnam Badast Log To Kante Chibo Gaye,
Aanchal Mein Phool Le K Kahan Ja Rahi Hon Main,
Jo Aane Wale Log Thay Wo Log To Gaye,
Kia Janiye Ufaq K Udhar Kia Talsam Hai,
Loute Nahi Zameen Pe Ek Bar Jo Gaye,
Jaise Badan Se Qos-E-Qazah Phootne Lagi,
Barish K Hath Phool K Sab Zakham Dho Gaye,
Aankhon Mein Dheere Dheere Utar K Purane Gham,
Palkon Mein Nanhe Nanhe Satare Paro Gaye,
Wo Bachpane K Neend To Ab Khawab Ho Gai,
Kia Umar Thi K Rat Hoi Aur So Gaye!
Kia Dukh Thay Kon Jan Sake Ga Nigar-E-Shab,
Jo Mere Aur Tere Dopatte Bigo Gaye............!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Kia Kia Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye”
Post a Comment