Tuesday, 21 May 2013
Mere Nazdeek Jo Rehta Bahut Hai
Poet Wasi Shah
Mere Nazdeek Jo Rehta Bahut Hai,
Ghalat Us Ne Mujhe Samjha Bahut hai,
Kaho Tum Ne Bhi Parkha
Bahut Hai,
Mera Dil Pyar Mein Seedha
Bahut Hai,
Use Haq Hai Wo Mere Hath Kaate,
K Us K Naam Ko Likha Bahut Hai,
Main Sehra Hon Magar
Shadabion Ka,
Wo Daria Hai Magar Pyasa
Bahut Hai,
Usi Ne Aankh Ko Aanso Diy Hain,
Jise Is Aankh Ne Dekha Bahut Hai,
Maseeha Soch Lo Dawa Se Pahle,
Ye Dil Ka Aina Toota Bahut Hai,
Bichhar K Mujh Se Zinda Reh Raha Hai,
Wo Apni Bat Ka Pakka Bahut Hai,
Zara Si Chaap Par Bhi
Jag Jay,
Mera Dil Neend Ka Kacha
Bahut Hai,
Lagi Hai Jab Se Zakhmon Ki Numaish
Tumhare Hath Ka Charcha
Bahut Hai,
Na Jane Khawab Kia Dekha Hai Us Ne?
Ye Bacha Rat Se Sehma
Bahut Hai,
Agar Dekho To Jan-e Anjuman Hai,
Agar Socho To wasi Tanha
Bahut Hai...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Mere Nazdeek Jo Rehta Bahut Hai”
Post a Comment