Wednesday, 22 May 2013

Mere Shehr Main Tujh Se Nadam Hon By Ahmad Faraz


 

Poet Ahmad Faraz 

 

Mere Shehr Main Tujh Se Nadam Hon,

Is Khamoshi K Liye Jab Ado Teri Khawabeeda Galion Pe,

Bheegi Hoi Rat Mein Aag Barsa Raha Tha,

Main Chup Tha Mere Shehr!

Is Behisi K Liye Jab Tere Baam-o-Dar,

Taaq-o-Dehleez-o-Deewar,

Tere Makeeno K Khoon-E-Hina Rang Se,

Tar Batar Ho Rahe Thay To Main Chasma Basta Tha,

Aye Mere Aabaa K Maskan!

Main Tera Gunahgar Hon,

Jab Tere Aaina Rang Chashmo Se,

Ek Joye Khoon Aamli Thi,

To Mere Labon Par Koi Harf-e-Matam Na Aaya,

K Jab Tere Zartab Kharmam Pe Safak Bijli Giri Thi,

To Main Teri Jalti Hoi Khaiton Ki Tarf,

Badal-e-Chaak-o-Waba Chashm-e-Purnam Na Aaya,

Main Sharminda Hon Aaye Mere Bargazeeda Bazurgon Ki Basti,

K Is Dard Ki Fasal Mein,

Tere Farzand Shair K Nok-e-Qalam Par,

Tera Isam-e-Azam Na Aaya,

Ye Sab Kuch Baja Hai,

Magar Aye Moqadas Zameen!

Teri Matti Ne Jab Meri Sorat Giri Ki,

To Virse Mein Too Ne,

Mujhe Aisa Badal De Dia Tha,

Jo Apne Dukhon K Samandar Na Dekhe,

Magar Dosron K Nam-e-Chashm Se Bakhabar Ho,

Mujhe Teri Gali Ne Wo Ahsaas Bakhsa,

Jo Apne Azeezon Ki Lashon Pe,

Pathar Bana Dam Bakhud Ho,

Magar Kahish-e-Deegraan Par,

Sada Nooh-e-Gar,

Mere Shehr !

Jab Tere Seene Se

Meenar-e-Khoon Uth Raha Tha,

Main Us Waqat Ghafil Nahi Tha,

Main Behis Nahi Tha,

Magar Us Ghari Mera Sara Watan Zulam Ki Zad Mein Tha,

Mera Sara Chaman Aag Ki Had Mein Tha,

Sari Dunia Ki Mazloomiat Meri Aahon Mein Thi,

Sari Dunia Hi Meri Nigahon Mein Thi,

Us Samme Too Hi Too Tha,

Pishawar Ka,

Lahor Ka Aur,

Bangaal Ka Naam Kohaat Tha,

Kashmeer Koria Heero Sheema Ka Weenaam Ka Naam Kohat Tha,

Sari Mazloom Dunia K Har Shehr Ka Naam Kohat Tha,

Aay Mere Shehr!

Mera Qalam Apne Kirdar Par,

Tujh Se Na Dam Sahi,

Khud Se Nadam Sahi,

Too Mera Shehr Hai,

Par Mera Shehr To Aaj Sari Zameem Hai,

Faqat Too Nahi Hai......................! 

 

===============

Book Shab-E-Khoon

===============

 

0 Responses to “Mere Shehr Main Tujh Se Nadam Hon By Ahmad Faraz”

Post a Comment