Thursday, 6 June 2013
Teri Yadon Ka Wo Aalam Nahi Hai
Poet: Ahmed Faraz
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Teri Yadon Ka Wo Aalam Nahi Hai.
Magar Dil Ki Udasi Kam Nahi Hai.
Humain Bhi Yad Hai Marg-E-Tamana.
Magar Ab Farsat-E-Matam Nahi Hai.
Hawa-e-Qurb-E-Manzil Ka Bura Hova.
Faraq-E-Hamsafar Ka Gham Nahi Hai.
Janoon-E-Parsai Bhi To Naseh.
Meri Deewangi Se Kam Nahi Hai.
Ye Kia Gulshan Hai Jis Gulshan Mein Log.
Baharon Ka Koi Mosam Nahi Hai.
Qayamat Hai K Har Meh-khawar Piyasa.
Magar Koi Hareef-E-Jam Nahi Hai.
Saleebon Par Khenche Jate Hain Lekin.
Kisi K Hath Mein Parcham Nahi Hai.
Faraz Is Qehat Zaar-E-Roshni Mein.
Charaghon Ka Dhovaan Bhi Kam Nahi Hai....!
Book: Jaana Jaana
Page: 67 to 68
Ghazal: 28
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Teri Yadon Ka Wo Aalam Nahi Hai”
Post a Comment