Saturday, 10 August 2013

Kahein Chaak-E-Jaan Ka Rafo Nahi Aasteen Pe Laho Nahi K (Usay Bhool Ja)


 

 

Poet Amjid IsLam Amjid 

 

Kahein Chaak-E-Jaan Ka Rafo Nahi,

Aasteen Pe Laho Nahi K,

Shaheed-E-Rah-E-Malal Ka Nahi,

Khoon Baha Usay Bhool Ja,

Kion Atta Howa Hai Ghubar Mein,

Kahan Aa K Rukne Thay Raste!

Kahan Mor Tha! Usay Bhool Ja,

Jo Mil Gia Usay Yad Rakh,

Jo Nahi Mila Usay Bhool Ja,

Wo Tere Naseeb Ki Barshain,

Kisi Aur Chat Pe Baras Gain,

Dil Be Khabar Meri Bat Sun,

Usay Bhool Ja,

Usay Bhool Ja,

Main To Gum Tha Tere Hi Dehan Mein,

Teri Aas Tere Guman Mein,

Sab Keh Gai Mere Kaan Mein,

Mere Sath Aa Usay Bhool Ja,

Kisi Aankh Mein Nahi Ashk-E-Gham,

Tere Baad Kuch Bhi Nahi Hai Kam,

Tujhe Zindagi Ne Bhula Dia,

Too Bhi Muskara Usay Bhool Ja,

Gham-E-Zindagi K Fashar Mein,

Wo Jo Darj Tha Tere Bakhat Mein,

So Wo Ho Gia Usay Bhool Ja,

Na Wo Aankh Hi Teri Aankh Thi,

Na Khawab Hi Tera Khawab Tha,

Dil-E-Muntazir To Ye Kis Liye,

Tera Jagna Usay Bhool Ja,

Ye Jo Rat Din Ka Hai Khail Sa,

Usay Dekh Us Pe Yaqeen Na Kar,

Nahi Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-E-Aanina Usay Bhool Ja,

Jo Bisat-E-Jaan Hi Ulat Gi Wo Jo Raste Se Palat Gia,

Usay Rokne Se Hasool Kia Usay Mat Bula Usay Bhool Ja,

To Ye Kis Liye Shab-E-Hijar K Usay Har Satare Mein Dekhna,

Wo Falak K Jis Pe Male Thay Hum,

Koi Aur Tha Usay Bhool Ja,

Tujhe Chand Ban K Mila Tha Jo,

Tere Sahilon Pe Khila Tha Jo,

Wo Tha Aik Daria-O-Wasal Ka,

So Utar Gia Usay Bhool Ja...............!

 

Page 91 To 92 

 

0 Responses to “Kahein Chaak-E-Jaan Ka Rafo Nahi Aasteen Pe Laho Nahi K (Usay Bhool Ja)”

Post a Comment