Thursday, 15 August 2013
Nahi Aaya Abhi Wo Jan_e_Mehfil Jan_e_Tanhai
Poet Liaqat Ali Asim
Nahi Aaya Abhi Wo Jan_e_Mehfil Jan_e_Tanhai,
Chalo Maoqoof Rakhen Aaj Bhi Ailan_e_Tanhai,
Mila Jo Bhi Tumhari Hi Tarha Kafir Mila Mujh Ko,
So Raasikh Ho Gayaa Aakhir Maira Emaan e Tanhai,
Main Un Ko Chhor Kar Barbaad Ho Jaaonga, Ay Vehshat,
Maire Ehbaab Hain Mera Sar o Saamaan e Tanhaaii,
Sunaa Hai Dasht e Rusvaaii Men Pehli Baar Aaya Hai,
Chalo, Chal Kar Karen Us Par Zaraa Ehsaan e Tanhaaii,
Isi Baa'is To Ham Ko Aasmaan Milne Nahin Detaa,
Voh Sailaab e Tamaasha Hai, To Main Toofaan e Tanhaaii,
Chhuraa Laataa Hun Khud Ko Aik Do Ghazalen Sunaa Kar Main,
Liya Jaata Hai Mujh Se Bazm Men Taawaan e Tanhaaii,
Boht Zor Aazmaai Ho Chuki, Rehne Do Ab 'Asim,
Nahin Niklegaa Seene Se Maire Paikaan e Tanhaaii...!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Nahi Aaya Abhi Wo Jan_e_Mehfil Jan_e_Tanhai”
Post a Comment