Monday, 5 August 2013
Sham K Same Ek Onchi Serhion Wale Ghar K
Poet Ibn-E-Insha
Sham K Same Ek Onchi Serhion Wale Ghar K Aangan Mein,
Chand Ko Utare Dekha Hum Ne,
Chand Bhi Kaisa?
Poora Chand,
Insha Jee In Chahne Wali,
Dekhne Wali Aankhon Ne,
Mulkon Mulkon Shehron Shehron,
Kaisa Kaisa Dekha Chand,
Har Ek Chand Ki Apni Dhaj Thi,
Har Ek Chand Ka Apna Roop,
Lekin Aisa Roshan Roshan,
Hansta Batein Karta Chand?
Dard Ki Teis To Uthti Thi Par Itnti Bhi,
Bhar Poor Kabhi?
Aaj Se Pehle Kab Utra Tha,
Dil Mein Itna Gehra Chand.......!
Hum Ne To Qismat K Dar Se,
Jab Paye Andhiare Paye,
Ye Bhi Chand Ka Sapna Ho Ga,
Kaisa Chand...?
Kahan Ka Chand...?
Page 25
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Sham K Same Ek Onchi Serhion Wale Ghar K”
Post a Comment