Friday, 22 November 2013

Karta Usay Beqarar Kuch Deir Hota Agar Akhtiar


 

 

Poet: Nasir Kazmi 

 

Karta Usay Beqarar Kuch Deir

Hota Agar Akhtiar Kuch Deir

Kya Royen Faraib-e-Aasamaan Ko

Apna Nahi Aitbaar Kuch Der

Aankhon Men Kati Pahaar Si Raat

So Ja Dil-e-Be'Qaraar Kuch Der

Ay Shaher-e-Tarab Ko Jane Walo

Karna Mira Intezaar Kuch Der

Be Kaifi Roz-o-Shab Musalsal

Sar Masti-e-Intezaar Kuch Der

Takleef-e-Gham-e-Firaaq Daaim

Taqreeb-e-Visaal-e-Yaar Kuch Der

Ye Ghuncha-o-Gul Hain Sub Musaafir

Hai Qaafila-e-Bahaar Kuch Der

Duniya To Sada Rahe Gi Nasir

Hum Log Hain Yad gaar Kuch Der...........!

(WO-HUMSAFAR)

 

0 Responses to “Karta Usay Beqarar Kuch Deir Hota Agar Akhtiar”

Post a Comment