Saturday, 30 November 2013
Musafir To Bicharte Hain Rafaqat Kab Badalti Hai
Musafir To Bicharte Hain,
Rafaqat Kab Badalti Hai,
Mohabbat Zinda Rehti Hai,
Mohabbat Kab Badalti Hai,
Tumhi Ko Chahte Hain Hum,
Tumhi Se PYAR Karte Hain,
Yehi Barson Se Aadat Hai,
To Aadat Kab Badalti Hai,
Kali Ka Phool Ban'na Aur,
Bikhar Jana Muqadar Hai,
Yehi Qanoon Hai Qudrat Ka,
To Qudrat kab Badalti Hai,
Jo Dil Pe Naqsh Kar Jaye,
Nigahon Mein Simat Aaye,
Alamat Hai Ye Chahat Ki,
To Chahat Kab Badalti Hai,
Badal Jate Hain Mosam,
Phoolon Mein Khushbo Nahi Rehti,
Magar Chahat K Phoolon Ki,
Khushbo Kab Badalti Hai..........!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Musafir To Bicharte Hain Rafaqat Kab Badalti Hai”
Post a Comment