Monday, 16 December 2013

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi


 

Poet: Sagar Siddiqui

NOMI Collection 

 

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi
marmari taron bhari raton mein kya hota nahi


jee mein aata hai ulat den un ki chehare se naqab
hausla karte hain lekin hausla hota nahi


shama jis ki aabaru par jan de de jhum kar
wo patanga jal to jata hai fana hota nahi

 

0 Responses to “ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi”

Post a Comment