Monday, 16 December 2013

Lahu na ho to kalam tarajuman nahi hota


 

 

Poet: Wasim Barelvi

Nomi Collection

Lahu na ho to kalam tarajuman nahi hota
hamare daur mein aansu zuban nahi hota


jahan rahega waheen roshni lutayega
kisi charag ka apna makan nahi hota


ye kis maqam pe lai hai meri tanahai
ke mujh se aj koi badguman nahi hota


main us ko bhool gaya hun ye kon manega
kisi charag ke bas mein dhuan nahi hota


‘wasim’ sadiyon ke aankhon se dekhiye mujh ko
wo lafz hun jo kabhi dastan nahi hota

 

 

0 Responses to “Lahu na ho to kalam tarajuman nahi hota”

Post a Comment