Wednesday, 18 December 2013
Nazar Kisi Ki Nazar Se Nahi Ulajhti Thi
Poet:Saghar Siddiqui
Nazar Kisi Ki Nazar Se Nahi Ulajhti Thi
Wo Din Bhi The KE Yoonhi Zindagi Guzarti Thi
Sitaray Apnay Liye Khawahishon Ki Manzil Thay
Haseen Raat Hamain Chandni Pilaati Thi
Rahay Thay Apni Hawaon Mai Aik Umar Magar
Bikhar Pare To Har Ik Gaam Apni Hasti Thi
Yehi Bohat Tha Ke Kuch Log Aakay Kahte Thay
Wo Mera Zikar Bohat Mukhlisaana Karti Thi
Nazar Mai Pyar Bhi Tha Aur Takalufaat Bhi Thay
Kaha Karainge Kabhi Ham, Ajeeb Larki Thi
Khamosh Rahti Thin Gehre Samandaron Ki Tarah
Wo Aankhen Jin Se Nari Shayari Bikharti Thi
Usay Milay To Is Bat Ka Suraagh Mila
Hamain Ye Zindagi Kyun Itni Pyari Lagti Thi
Naa Jaanay Kitne Hi Safhon Pe Dil Bikhera Magar
Naa Keh Sake To Woh Ik Baat Jo Kehni Thi
Mahak To Uss Ke Har Ik Payrhan Main Thi Lekin
Wo Ghar Ke Saada Se Kapron Main Khoob Lagti Thi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Nazar Kisi Ki Nazar Se Nahi Ulajhti Thi”
Post a Comment