Wednesday, 18 December 2013
Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhain
Poet Mohsin Bhopali
Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhein,
Barha Rahi Hain Nigahon Ka Hosala Aankhein,
Jo Dil Main Aks Hai Aankhon Se Bhi Wo Chalke Ga,
Dil Aaina Hai Magar Dil Ka Aaina Aankhein,
Wo Ek Satara Tha Jane Kahan Gira Ho Ga,
Khila Mein Dhoond Rahi Hai Na Jane Kia Aankhein?
Qareeb Jan Dum Khulot Magar Sar-e-Mahfil,
Hain Ajnabi Se Bhi Barh Kar Wo Aashna Aankhein,
Gham-E-Hayat Ne Fursat Na Di Taherne Ki,
Pukarti Hi Rahein Mujh Ko Sada Aankhain,
Tabahion Ka Kisi Ne Agar Sabab Poocha,
Zaban-E-Haal Ne Be Sakhta Kaha Aankhain,
Jhatak Chuka Tha Main Gard-e-Malal Chehre Se,
Chupa Sakein Na Magar Dil Ka Majra Aankhain,
Ye Is Ka Tarz-e-Takhatub Bhi Khoob Hai
"MOHSIN"
Ruka Ruka Sa Tabasum Khafa Khafa Aankhain.............!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhain”
Post a Comment