Saturday, 22 February 2014
Apni Palkon Pe Jami Gard Ka Hasil Mange Wo Musafir Hon Jo Har Mor Pe Manzal Mange
Poet Mohsin Naqviii
Apni Palkon Pe Jami Gard Ka Hasil Mange,
Wo Musafir Hon Jo Har Mor Pe Manzal Mange,
Meri Vos'at Ki Talab Ne Mujhe Mehdood Kia,
Main Wo Daria Hon Jo Mojon Se Bhi Sahil Mange,
Khawahish-E-Wasl Ko So Rang K Mafhoom Diye,
Bat Aasan Thi Magar Lafz To Mushkil Mange,
Sach Ka Munkar Howa Arzai Khoon Ka Mosam,
Khaak-E-Maqtal Se Gawahi Mera Qatil Mange,
Dil Ki Zid Par Na Khafa Ho Mere Aflak Nasheen,
Dil To Pani Se Bhi Aks Meh-E-Kamil Mange,
Sans Meri Thi Magar Us Se Talab Ki,
MOHSIN
Jaise Khairat Sakhi Se Koi Sail Mange.....................!
Page 80
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Apni Palkon Pe Jami Gard Ka Hasil Mange Wo Musafir Hon Jo Har Mor Pe Manzal Mange”
Post a Comment