Sunday, 16 February 2014
Hai Dam-E-Zulf Mein Dil Tere Mubtala Apna
Poet Khawaja Hafiz Sheeraz
Type bY
UJRRA_DIL
Hai Dam-E-Zulf Mein Dil Tere Mubtala Apna,
Ura De Ghamzha Se Sar,
Paye To Kia Apna?
Bar Aati Ho Tere Hathon Agar Kisi Ki Murad ?
Nikal Jald,
Samjh Khair Mein Bhala Apna,
Qasm Hai Ay But-E-Shaireen Yahan Bhi Shama Misal,
Andhairiyon Mein Hai
Raaton Ki Dam Fana Apna,
Jo Mujh Sy Poochhy To Bulbul Kabhi Na Kijiyo Ishq,
Taira Nahein Gul Khud-Roo Hai Aashna Apna,
Jamal-E-Gul Nahein Mushak Khatn Ka Hajat Mandd,
Usy Hai Nafa Har Ik Takma-E-Quba Apna,
Na Jhank Mahlon Py Arbab-E-By Marwat K,
Hasar-E-Aman Hai Ay Dost Jhoonprha Apna,
Hua Hon Sokhta HAFIZ Py Ahad Janbazi,
Wahi Hai Dil Mein,
Wahi Dawa-E-Wafa Apna......!
Book Deewan-E-Hafiz
Page 74 Gzl Number 39
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Hai Dam-E-Zulf Mein Dil Tere Mubtala Apna”
Post a Comment