Monday, 17 February 2014
Iztrab-E-Aashqi Phir Kaar Farma Ho Gaya
Poet Hasrat Mohani
Type bY
UJRRA_DIL
Iztrab-E-Aashqi Phir Kaar Farma Ho Gaya,
Sabr Maira Na Shakeebai Sarapa Ho Gaya,
Sadgi Haye Tamna K Mazy Jaty Rahy,
Ho Gaye Mushtaq Hum,
Aur Wo Khud Aara Ho Gaya,
Waa-E-Nakami Na Samjha Kon Hai Paish-E-Nazar ?
Main Keh Husan-E-Yaar Ka Mahvo Tamasha Ho Gaya,
Bad Mudat K Mily To Sharm Mujh Sy Kis Liye ?
Tum Naye Kuchh Ho Gaye ?
Ya Main Nirala Ho Gaya ?
No Jawani Thi Koi Sheedai Na Tha,
Mairy Siwa,
Aik Husan Kar Ka Wo Bhi Zamana Ho Gaya,
Shorshein Jati Rahein,
Wo Aarzoo-E-Visal Ki,
Ranj-E-Doori,
Marham-E-Zakham,
Tamna Ho Gaya,
Sehar Wo Kiya Tha,
Nigah-E-Aashna-E-Yaar Mein,
Jo Dil-E-Beemar K Haq Mein Maseeha Ho Gaya,
Zabt Sy Raaz-E-Mohabbat Ka Chhupana Tha Muhal,
Shoq Gar Pehna'n Huwa Gham Aashkara Paya,
Hai Zaban Lakhnwo Mein Rang-E-Dahli Ki Namood,
Tujh Sy HASRAT Naam Roshan Shairi Ka Ho Gaya........!
Kulyat-E-Hasrat
Page 71
Gzl Num 10
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Iztrab-E-Aashqi Phir Kaar Farma Ho Gaya”
Post a Comment