Sunday, 23 February 2014
Mujh Ko To Gair K Marna Hai Baqi Ko Kia Karna Hai
Poet John Elia
Typ By
*.__Ayaz Khan__.*
Mujh Ko To Gair K Marna Hai
Baqi Ko Kia Karna Hai,
Shehr Hai Chehron Ki Tamseel,
Sab Ka Rang Utarna Hai,
Waqat Hai Wo Tang Jais Mein,
Sub Ko Dar Kar Darna Hai,
Mere Naqsh-E-Sani Ko,
Mujh Mein Hi Se Ubharna Hai,
Kaisi Talafi Kia Tadbeer,
Karna Hai Aur Bharna Hai,
Jo Nahi Guzra Hai Ab Tak,
Wo Lamha To Guzarna Hai,
Apne Gummaan Ka Rang Tha Mein,
Hum Do Paye Hain So Humain,
Maiz Pa Jaa Kar Charna Hai,
Chahe Hum Kuch Bhi Kar Lain,
Hum Aeson Ko Sudharna Hai,
Hum Tum Hain Ek Lamha K,
Phir Bhi Wadah Karna Hai........!
Book: Gummaan
Page: 33 to 34
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Mujh Ko To Gair K Marna Hai Baqi Ko Kia Karna Hai”
Post a Comment