Sunday, 16 February 2014
Sham-E-Gham Ki Sahar Nahi Hoti Ya Humain Ko Khabar Nahi Hoti
Poet Ibn-E-Insha
Sham-E-Gham Ki Sahar Nahi Hoti,
Ya Humain Ko Khabar Nahi Hoti,
Hum Ne Sab Dukh Jahan K Dekhe Hain,
Be Kali Is Qadar Nahi Hoti,
Nala Youn Narsa Nahi Rehta,
Aah Youn Beasar Nahi Hoti,
Chand Kehkashan Hai Tare Hain,
Koi Shaye Nama Bar Nahi Hoti,
Aik Jan Sooz-O-Na Murad Khaash,
Is Taraf Hai Udhar Nahi Hoti,
Dosto Ishq Hai Khata Lekin,
Kia Khata Darguzar Nahi Hoti?
Rat Aa Kar Guzar Bhi Jati Hai,
Ek Humari Sahar Nahi Hoti,
Beqarari Sahi Nahi Jati,
Zindagi Mukhtasar Nahi Hoti,
Aik Din Dekhne Ko Aa Jate,
Ye Hivas Umar Bhar Nahi Hoti,
Husn Sab Ko Khuda Nahi Deta,
Har Kisi Ki Nazar Nahi Hoti,
Dil Payala Nahi Gadai Ka,
Aashiqi Dar Ba Dar Nahi Hoti..................!
Page 150,151
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Sham-E-Gham Ki Sahar Nahi Hoti Ya Humain Ko Khabar Nahi Hoti”
Post a Comment