Saturday, 15 February 2014
Uth Aarzwon K Muhlon Ki Boodi Hai Buniad
Poet
Khawaja Hafiz Sheeraz
Type bY
UJRRA_DIL
Uth Aarzwon K Muhlon Ki Boodi Hai Bunyad,
Uthaly Badha Hai Buniyad-E-Umer Bhi Barbad,
Mureed Hota Main Us Ka Agar Koi Milta,
Jahan Mein Qaid Alayeq Sy Mutlqan Aazad,
Amal Kary Jo Na Bhooly,
To Ye Naseehat Aik,
Rahi Hai Peer-E-Tareeqat Ki Apny Mujh Ko Yaad,
Wafa Ki Rakhiyo Na Umeed Zawal-E-Dunya Sy,
Keh Is Ajoozha Ny Mary Hain Saikrron Damad,
Sarwash-E-Ghaib Ny Khush-Khabriyan Sunaein Mujhy,
Shab Apny Aalam-E-Masti Ki Kaya Kahon Ruwadad,?
Kaha Bulan Nazar Shehbaz-E-Sidra Nasheen,
Jaga Nahein Tairi Rahat Ki Ye Mahan Aabad,
Hai Baam-E-Arash Sy Paiham Tujhy Sila-E-Safeer,
Phansa Yahan Jo Too Aa Kar To Kaya Parri Uftad,
Na Khaiyo Gham-E-Dunya Na Bhool Jaye Ye Pandd,
Jo Reh Gai Hai
Mujhy Aik Hum-Safr Sy Yaad,
Jahan Mein Ban K Too Reh Khanda-Roo Raza-Ba-Qaza,
Na Tairy Bas Na Mairy Ikhtzar Bast-O-Kishad,
Wafa Sy Khali Hai Mutlaq Ada-E-Khanda-E-Gul,
Baja Hai Bulbul-E-Miskeen Ka Nala-O-Faryad,
Qabool-E-Aam
Ye Lutaf-E-Kalam HAFIZ Ka,
Khuda Ki Dain Hai Ay Susat Nazam Aur Hasaad.........!
.
Book Deewan-E-Hafiz
Page 70
Gzl Number 32
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Uth Aarzwon K Muhlon Ki Boodi Hai Buniad”
Post a Comment