Sunday, 16 February 2014
Waiza Ja Na Dikha Hum Ko Hare Bagh-O-Behshat
Poet Khawaja Hafiz Sheeraz
Type bY
UJRRA_DIL
Waiza Ja Na Dikha Hum Ko
Hare Bagh-O-Behshat,
Yahan Azl Hi Se Nahi Khald Ki Miti Se Sarshat,
Mana May Sy Na Kar Ay Soofi,
Safi Keh Hui,
Apni Tabiat Ki Azl Mein,
May-E-Khalis Sy Sarshat,
Tujh Ko Tasbeeh-O-Musla-O-Raah-E-Zahd-O-Islaah,
Mujh Ko May-Khana-O-Naqoos-O-Raah-E-Deer-O-Kanshat,
Kharqa Yahan Chhoota Na Gar Mairi Tarah Rahn-E-Sharab,
Soofi-E-Saaf Ki Bakhshish Ho Na Paye Wo Behshat,
Na Mily Hoor Behshti Na Mily Kosar-O-Jaam,
Chhorhna Daman-E-Mehboob Ka Is Darja Hai Zasht,
Kharman-E-Hasti Sy Aik Jo Na Parra Paye Agar,
Raah-E-MOLA-O-Fana Mein Na Ki Ik Dana Ki Kasht,
HAFIZA Lutaf KHUDA Shamil-E-Ahwal Ho Bas,
Chhor Dy Sub Ye Gham-E-Dozakh-O-Shadi-E-Behshat.......!
.
Book Deewan-E-Hafiz
Page 75
Gzl Number 41
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Waiza Ja Na Dikha Hum Ko Hare Bagh-O-Behshat”
Post a Comment