Monday, 7 July 2014

Hum Hain Sookhe HowaY Talab Pe Bethe Howay Hans

Jo Ta'aluq Ko Nibhate Howay Mar Jatey Hain


 

Poet Qateel Shifai 

 

Phool Khusbo K Nashe Hi Mein Bikhar Jate Hain,

Log Pehchan Banate Howay Mar Jate Hain,

Manzalein Un Ka Muqadar K Talab Ho Jin Ko,

Be Talab Log To Manzal Se Guzar Jate Hain,

Jin Ki Aankhon Mein Hon Aanso Unain Zinda Samjho,

Pani Marta Hai To Daria Bhi Utar Jate Hain,

Lab-E-Khandan Hon K Un Ki Shagufta Aankhain,

Hum Samjhte Thay K Ye Zakhm Bhi Bhar Jate Hain,

Hum Hain Sookhe HowaY Talab Pe Bethe Howay Hans,

Jo Ta'aluq Ko Nibhate Howay Mar Jatey Hain,

Aye Khuda Aisi Aziat Se Bachana QATEEL Ko,

Jahan Dastaar To Reh Jati Hai Sar Jate Hain...................! 

 

0 Responses to “Hum Hain Sookhe HowaY Talab Pe Bethe Howay Hans

Jo Ta'aluq Ko Nibhate Howay Mar Jatey Hain”

Post a Comment