Wednesday, 16 July 2014
Kis Ko Ab Hoga Watan Mein Aah, Mera Intizar
Poet Allama IQBAL
Kis Ko Ab Hoga Watan
Mein Aah, Mera Intizar,
Kon Mera Khatt Na Aane Se Rahega Be Qarar,
Khaak-E-Marqad Par
Teri Le Kar Ye Fariyad
Aaoonga,
Ab Dua-E-Neem Shab
Mein Kis Ko Mein Yaad
Aaoonga,
Tarbiyat Se Teri Mein
AnJam Ka Humqismat
Huwa,
Ghar Mere AJdaad Ka
Sarmaaya-E-Izzat
Huwa,
Daftar-E-Hassti Mein
Thi Zareen Waraq
Teri Hayaat,
Thi Saraapa
Deen-O-Duniya Ka
Sabaq Teri Hayaat,
Umar Bhar Teri
Mohabbat Meri
Khidmat Gar Rahi,
Mein Teri Khidmat K
Qaabil Jb Huwa, To
Chal Bassi,
Karobar-E-Zindgaani
Mein Wo Hum Pehloo
Mera,
Wo Mohabbat Mein
Teri Tassveer Wo
Bazoo Mera,
Tujh Ko Masl-E-Taflak
Be Dast-O-Pa Rota
Hai Wo,
Sabr Se Na Aashna
Subh-O-Massa Rota
Hai Wo........?
Book
Bang E Dara
Page 178
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 Responses to “Kis Ko Ab Hoga Watan Mein Aah, Mera Intizar”
16 January 2021 at 00:26
absolutely
Post a Comment