Saturday, 19 July 2014

Too Ne Jo Bakhshe Humain Asbab-E-Gham Ache Lage

Tere Be Ja Zulm Bhi Teri Qasam Ache Lage


Poet Naseer-o-Deen Naseer 

Too Ne Jo Bakhshe Humain Asbab-E-Gham Ache Lage

Tere Be Ja Zulm Bhi Teri Qasam Ache Lage

Gham Ki Dunia Se Hoi Manoos Youn Taba-E-Hazeen,

Ek Esi K Dam Se Thay Ehl-E-Janoon Mein Be Waqar,

Aqal Kho Kar Koocha-E-Jana Mein Hum Ache Lage,

Pas Jab Aaye To Hum Par Khul Gia Daam-E-Fareib,

Door Se Kia Kia Teri Zulfon K Kham Ache Lage,

Hum Bura Kehte Rahe Jab Tak Shanasai Na Thi,

Maye Kade Mein Aaye To Sheik-E-Haram Ache Lage,

Rog Dil K Dhul Gaye Qismat K Uqde Khul Gaye,

Aap Ki Nisbat Hoi Hasil To Hum Ache Lage,

Dil Unhain De Kar Mohabbat Ka Bharam Rakhna Para,

Be Rukhi Achi Lagi Zulam-O-Sitam Ache Lage,

Ehl-E-Aalam Se Hi Kia Be At'nai Ka Gila,

Mere Afsane NASEEr Un Ko Bhi Kam Ache Lage...............! 

0 Responses to “Too Ne Jo Bakhshe Humain Asbab-E-Gham Ache Lage

Tere Be Ja Zulm Bhi Teri Qasam Ache Lage”

Post a Comment