Tuesday, 16 September 2014

Azab-E-Darbadari Se Nikalna Chahte Hain


 

 

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Azab-E-Darbadari Se Nikalna Chahte Hain,

Ab Us K Khaima-E-Khushbo Mein Rehna Chahte Hain,

Sada-E-Gul Ki Tarha Moja-E-Saba Ki Tarha,

Teri Gali Se Kisi Din Guzarna Chahte Hain,

Talash-E-Rizq Mein Bhatki Hoi Takan K Bad,

Parinde Apne Gharon Ko Palatna Chahte Hain,

Humain Na Dekh Zamane Ki Gird Aankhon Se,

Tujhe Khabar Nahi Hum Tujh Ko Kitna Chahte Hain,

Wafa Hai Shart To Apne Darmian Ab Bhi,

Ye Log Kis Liye Deewar Rakhna Chahte Hain,

Ameer-E-Shehr Salamat Masa Jahan Samet,

Hum Ehl-E-Sabar Ab Un Se Mukarna Chahte Hain..........!

Page 41,42 

 

0 Responses to “Azab-E-Darbadari Se Nikalna Chahte Hain”

Post a Comment