Sunday, 26 October 2014
December Jab Bhi Aata Hai Wo Pagli Phir Se Beete Mosam Ko Yad Karti Hai
Poet Khaleelullah Farooqi
December Jab Bhi Aata Hai
Wo Pagli Phir Se Beete Mosam Ko Yad Karti Hai
Purane Cards Parhti Hai K Jis Mein Us Ne Likha Tha,
Main Louton Ga DECEMBER Mein,
Naye Kapre Banati Hai,
Wo Sara Ghar Sajati Hai,
December K Har Aik Din Ko,
Wo Gin Gin Kar Batati Hai,
Joon Hi 15 Guzarti Hai,
Wo Kuch Kuch Toot Jati Hai,
Magar Phir Bhi Purane Albums Ko Khol Kar,
Mazi Ko Bulati Hai,
Nahi Maloom Ye Us Ko K,
Beete Waqt Ki Khushian
Bahut Takleef Deti Hein,
Mehz Dil Ko Jalati Hain,
Younhi Din Beet Jate Hein,
DECEMBER Lout Jata Hai,
Magar Wo Khush Fehm Larki,
Dobara Se Calender Mein,
DECEMBER K Maheene K
Safhe Ko,
Mor Kar Phir Se December K Sehr Mein Doob Jati Hai,
K Aakhir Us Ne Likha Tha,
Main Louton Ga DECEMBER Mein.........!
Page 240
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “December Jab Bhi Aata Hai Wo Pagli Phir Se Beete Mosam Ko Yad Karti Hai”
Post a Comment