Saturday, 21 March 2015
Bahaar Aai To Jaise Yak Baar, Loat Aaye Hain Phir Adam Se
Poet:Faiz Ahmad Faiz
Type By
*.__Ayaz_Khan__.*
Bahaar Aai
Bahaar Aai To Jaise Yak Baar,
Loat Aaye Hain Phir Adam Se,
Wo Khuwaab Saare Shabaab Saare,
Jo Tere Hunton Pe Marmte Thy,
Jo Mit Ke Har Baar Phir Jeeye Thy,
Nikhar Gaye Gulaab Saare,
Jo Teri Yaadon Se Mushkboo Hain,
Jo Tere Ushaq Ka Lahoo Hain,
Ubal Pare Hain Azaab Saare,
Malaal-E-Ehwaal-E-Dostaan Bhi,
Khumaar-E-Aaghosh-E-Ma-O-Shaan Bhi,
Ghubaar-E-Khatar Ke Baab Saare,
Tere Humare,
Sawaal Saare,
Jawaab Saare
Bahaar Aai To Khul Gaye Hain,
Naye Sere Se Hisaab Saare..........!
Book:
Shaam-E-Shehr-E-Yaraan
Page 55-56
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Bahaar Aai To Jaise Yak Baar, Loat Aaye Hain Phir Adam Se”
Post a Comment