Saturday, 21 March 2015
Shehr-E-Khuwab Se Shehr-E-Aashob Tak
Poet:Ayaz Khan
Type By
*.__Ayaz_Khan__.*
**Shehr-E-Khuwab Se Shehr-E-Aashob Tak**
Shehr-e-Khuwaab
Ek Shehr Tumhara Hai.....*
Ek Shehr Humara Hai.....*
Jahan Makaan Kache Hain.....*
Par Khuwaab Sache Hain.....*
Jahan Ghamon Par Phehra Hai.....*
Par Har Taraf Khushion Ka Dera Hai.....*
Jahan Har Musam Mein Phool Khilte Hain.....*
Jahan Par Sab Log Piyaar Se Milte Hain.....*
Jahan Chehron Se Muskurahat Tapakti Hai.....*
Jahan Sanson Se Khushboo Aati Hai.....*
Jahan Labon Se Phool Jharte Hain.....*
Jahan Par Log Kabhi Nahi Larte Hain.....*
Jahan Sab Ko Sach Se Wasta Hai.....*
Jahan Jagnoo Dekhata Rasta Hai.....*
Jahan Par Zindagi Rawaan Dawaan Hai.....*
Jahan Hosla Sab Ka Jawaan Hai.....*
Jahan Par Apno Mein Koi Ranjish Nahi.....*
Jahan Par Sapno Pe Koi Bandish Nahi.....*
Jahan Kabhi Koi Bhoka Sota Nahi.....*
Jahan Par Koi Shajar Sookha Nahi.....*
Jahan Be-Gunah Ko Koi Dar Nahi.....*
Jahan Koi Aadmi Be-Ghar Nahi.....*
Jahan Banjh Musam Mein Bhi Phool Khilte Hain.....*
Jahan Darya Aur Samandar Aapas Mein Milte Hain.....*
Jahan Kabhi Aankh Mein Aansoo Aaya Nahi.....*
Jahan Par Khof Ka Koi Saaya Nahi.....*
Jahan Sab Khushi Ke Geet Gatey Hain.....*
Jahan Par Sab Hanste Mukurate Hain.....*
Jahan Chaand Kabhi Rotha Nahi.....*
Jahan Par Koi Khota Sikka Nahi.....*
Jahan Taqdeer Koi Dekhta Nahi.....*
Jahan Zameer Koi Bechta Nahi.....*
Jahan Waqt Ki Qeemat Hai.....*
Jahan Maa Baap Ki Khidmat Hai.....*
Jahan Chhoton Se Sab Ko Piyaar Hai.....*
Jahan Badon Ka Adab Be-Shumaar Hai.....*
Jahan Par Hain Sab Barabar.....*
Jahan Par Koi Zalim Na Jabar.....*
Jahan Piyaar Ki Boli Chalti Hai.....*
Jahan Har Taraf Se Thandi Hawa Chalti Hai.....*
Ek Shehr Humara Hai.....*
Ek Shehr Tumhara Hai.....*
Jahan Khuwabon Pe Pabandi Hai.....*
Jahan Barood Ki Boo Pheli Hai.....*
Jahan Par Har Aankh Meli Hai.....*
Jahan Chehron Par Khoof Tari Hai.....*
Jahan Saans Mushkil Se Jaari Hai.....*
Jahan Labon Par Tale Hain.....*
Jahan Sab Ke Dil Kaale Hain.....*
Jahan Jhoot Ka Sar Uncha Hai.....*
Jahan Sach Ka Bool Nicha Hai.....*
Jahan Walwale Sote Hain.....*
Jahan Jawaan Gham Se Rote Hain.....*
Jahan Naari ke Haath Chori Na Payal Hai.....*
Jahan Har Shakhs Ka Dil Ghayal Hai.....*
Jahan Zindagi Roti Hai.....*
Jahan Qadam Qadam Par Moat Hai.....*
Jahan Dilon Mein Hai Ranjish.....*
Jahan Sapnon Pe Hai Bandish.....*
Jahan Har Aadmi Dara Howa.....*
Jahan Hai Insaaf Mara Howa.....*
Jahan Nazren Sab Ki Bhoki Hain.....*
Jahan Baharen Sab Rothi Hain.....*
Jahan Sab Musam Phike Hain.....*
Jahan Tewar Sab Ke Thike Hain.....*
Jahan Din Raat Sab Rote Hain.....*
Jahan Hukaraan Maze Se Sote Hain.....*
Jahan Qaom Ki Maain Ghamzada Hain.....*
Jahan Humare Bhai Sharmindah Hain.....*
Jahan Chhandni Hoti Nahi.....*
Jahan Behnen Dar Se Soti Nahi.....*
Jahan Taqdeer Se Shikwe Hain.....*
Jahan Zameer Bikte Hain.....*
Jahan Logo Mein Nafrat Hai.....*
Jahan Dilon Mein Baki Hasrat Hai.....*
Jahan Piyaar Ki Nadiya Sookhi Hai.....*
Jahan Nafrat Ki Barish Hoti Hai.....*
EK SHEHR KHUWAAB HUMARA HAI.....*
EK SHEHR KHUWAAB TUMHARA HAI.....*
The End
**********NOMI**********
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Shehr-E-Khuwab Se Shehr-E-Aashob Tak ”
Post a Comment