Monday, 27 July 2015
Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta, Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta
Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta,
Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta,
Us ki b nikal aati hai izhaar ki soorat,
Jis shakhs ko lafzon ka sahara nahi milta,
Phir doobna yeh baat bohat soch le pehle,
Har laash ko daryaa ka kinaara nahi milta,
Yeh soch k dil phir se hai aamada e ulfat,
Har baar mohabat mai khasaara nahi milta,
Woh shehar bhala kaise lagay apna jahan par,
Ik shakhs bhi dhoonde se hamara nahi milta..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta, Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta”
Post a Comment