Thursday, 30 July 2015

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta



Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta

 Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta

Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin

 Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta

Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi

 Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta

Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai

 Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta

Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed

 Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta........!


0 Responses to “Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta”

Post a Comment