Monday, 27 July 2015

Main ke pachtaawa na tera hota, Kash tu ne mujhe socha hota



Main ke pachtaawa na tera hota,
Kash tu ne mujhe socha hota,

Hum marey hote magar jee uthtey,
Tu ne ik baar pukaara hota,

Tum mujhe dekhte apni chat se,
Kaash main shaam ka taara hota,

Main bhattak jata tere rastey se,
Gar kabhi tera ishaara hota,

Jiss gharri tu ne karam farmaya,
Kaash woh lamhaa dobara hota,

Tujh se bhi toot na sakta aye kaash,
Main tera pukhtaa iraada hota,

Tere aangan mein kisi saawan mein,
Ban ke barish hi main utraa hota,

Jis se koi bhi na guzraa ho SHUMAAR
Main tere dil ka woh raasta hota..

Akhtar Shumaar

0 Responses to “Main ke pachtaawa na tera hota, Kash tu ne mujhe socha hota”

Post a Comment