Monday, 31 August 2015

Ab umar ki naqdi khatam hui Ab hum ko udhaar ki haajat hai


 

Poet:Ibn-e-Insha

Ab umar ki naqdi khatam hui

Ab hum ko udhaar ki haajat hai

Hai koi jo saahukaar bane?

Hai koi jo deewanhaar bane?

Kuch saal maheene din logo

Par suud beyaj ke bin logo

Haan apni jaan ke khazaane se

Haan umar ke tausha-khane se

Kia koi bhi saahukaar nahin

Kia koi bhi  deewanhaar nahin

Jub naam udhaar ka aaya hai

Kiyun sub ne sir ko jhukaya hai

Kuch kaam hamain nibtane hain

Jinhain jaan'ne wale jane hain

Kuch piyar dulaar ke dhande hain

Kuch jug ke dosre phande hain

 Hum maangte nahi hazaar barass 

Dus paanch barass do chaar barass 

Haan! suud beyaj bhi de lain ge

Haan! aur khiraj bhi de lain ge

Aassan bane dushwar bane

Par koi to deewanhaar bane

Tum kaon tumhara naam hai kiya

Kuch hum se tum ko kaam hi kiya

Kiyun is majme main aayi ho

Kuch maangti ho kuch laai ho

Ye Karobaar ki batain hain

Ye naqd udhar ki batain hain

Hum bethe hain kashkol liye

Sub umer ki naqdi khatam kiye

Gr sher ke rishte aayi ho

To samjho jald judai ho

Ab geet gaya sangeet gaya

Haan sher ka mausam beet gaya

Ab patjhar aai paat girain

Kuch subah girain kuch raat girain

Ye apne yaar purane hain

Ik umer se hum ko jane hain

In sub ke paas hai maal buhat

Haan! Umer ke mah-o-saal bohat

In sub ko hum ne bulaya hai

Aur jholi ko phelaya hai

Tum jao in se baat karain

Hum tum se na mulaqat kerain

Kya paanch baraas?

Kya apni umer ke paanch baras?

Tum jaan ki theli laai ho?

Kya pagal ho? Sodayi ho?

Jub umar ka aakhir aata hai

Her din sadyian ban jata hai

Jeene ki hawis hi nirali hai

Hai kaon jo is se khali hai

Kya maut se pehle marna hai?

Tum ko to bohat kuch kerna hai?

Phir tum ho hamari kaon bhala

Haan tum se hamara kia rishta

Kis sood biyaj ka laaluch hai

Kisi aur khiraj ka laaluch hai

Tum sohni ho man mohni ho

Tum jaaker poori umer jio

Ye paanch baras ye chaar baras

Chhin jayen to lagain hazaar baras

Sab dost gaye sab yaar gaye

The jitne saahukaar gaye

Bus aik ye naari bethi hai

Ye kaon hai kya hai kesi hai

Haan umer hamain darkaar bhi hai

Haan jeene se hamain pyar bhi hai

Jub maangain jeevan ki gharrian

Gustaakh akhiyan kithe ja larrian

Hum qarzz tumhain lauta den ge

Kuch aur bhi gharrian laa den ge

Jo saa-at o maah o saal nahi

Wo gharian jin ko zawaal nahi

Lo apne ji main utaar liya

Lo hum ne tum se udhaar liya

 

0 Responses to “Ab umar ki naqdi khatam hui Ab hum ko udhaar ki haajat hai”

Post a Comment