Sunday, 30 August 2015

Abhi kuch bhi nahin badla Darakhton par wohi maosam abi tak muskuratey hain



Poet:Wasi Shah

Abhi kuch bhi nahin badla 

Darakhton par wohi maosam abi tak muskuratey hain

Abhi tak surmeyi shamain hamare saath roti hain

Abhi tak mere honton par tumhare honton ki khushboo

Raqss karti hai

Abhi tak meri ankhon mein tumhare khuwaab hanstey hain

Abhi tak mere haathon par tumhari ungliyon

ki narm pooron se likhey sab harf

zinda hain

Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai

Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley

saarey naqsh qayem hain

Abhi almaariyon mein saarey tohfey gungunatey hain

Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se

Tumhari baat kartey hain

Buhat se saal guzrey hain

Buhat se waqt beeta hai

Meri chahat nahin beeti

Meri himmat nahin guzri 

Abhi kuch bhi nahin badla

Abhi kuch bhi nahin badla

Agar chaho

Agar samjho

Meri maano

To laot aao.........!


0 Responses to “Abhi kuch bhi nahin badla Darakhton par wohi maosam abi tak muskuratey hain”

Post a Comment