Sunday, 30 August 2015
Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai
Poet:Wasi Shah
Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai
Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai
Mere ishq mein shayed koi kami hoi ho
Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai
Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed wo
Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai
Dil mera veeran hoa to hasrat kesi
Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai
Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye
Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai
Tere lamss ka jado bhi kesa jado hai
Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai
Tera chahra har chehre par chaa jata hai
Ye manzar har manzar aujhal kar deta hai
Aankh ke registaa'n ko teri yaad ka badal
Chuu jaye to pal mein jal'thall kar deta hai......!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai”
Post a Comment