Sunday, 30 August 2015

Maan le ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun Kaam aati nahin phir koi duaa, dard na chun



Poet:Wasi Shah

Maan le ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun

Kaam aati nahin phir koi duaa, dard na chun

Aur kuch dair mein mujh ko chale jana hoga

aur kuch dair mujhe khuwaab dikha, dard na chun

Aik bhi dard na kam hoga kayi sadiyon mein

Ab bhi kehta hoon tujhe waqt bachaa, dard na chun

Woh jo likha hai kisi taur nahin ttal sakta

Aa mere dil main koi deep jala, dard na chun

Main tere lamss se mehroom na rah jaaon kahin

Aakhri baar mujhe khud se laga, dard na chun

Ab to ye raishmi purain bhi chaddi jati hain

Khud ko ab bakhssh bhi de, zulm na dhaa, dard na chun

Ye nahin hon ge to khali nahin ho jaon ga mein

Mere zakhmon se koi geet bana, dard na chun

Kuch na de ga ye masaayel se ulajhtey rehna

Chorr sab kuch meri banhon mein samaa, dard na chun.......!


0 Responses to “Maan le ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun Kaam aati nahin phir koi duaa, dard na chun”

Post a Comment