Tuesday, 1 September 2015
Aaj bhi qaafila-e-ishq rawaan hai keh jo tha Wohi meel aur wohi sang-e-nishaan keh jo tha
Poet:Firaq Ghorakhpuri
Aaj bhi qaafila-e-ishq rawaan hai keh jo tha
Wohi meel aur wohi sang-e-nishaan keh jo tha
Phir tera gham wohi ruswaa-e-jahaan hai keh jo tha
Phir fasaana ba-hadees-e-digraan hai keh jo tha
Manzilen gard ke maanind urri jati hain
Wohi andaaz-e-jahaan-e-guzaraan hai keh jo tha
Zulmat-o-noor main kuch bhi na mohabbat ko mila
Aaj tak ek dhundlake ka samaan hai keh jo tha
Yun to is daur main be-kaif si hai bazm-e-hayaat
Ek hungaama sar-e-ritl-e-giraan hai keh jo tha
Laakh kar jaur-o-sitam laakh kar ehsaan-o-karam
Tujh pe ay dost wohi vehm-o-gumaan hai keh jo tha
Aaj phir ishq do aalam se judaa hota hai
Aasteenon main liye kaun-o-makaan hai keh jo tha
Ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda buhat
Wohi kamm kamm asr-e- soz-e-nihaan hai keh jo tha
Nazar aa jate hain tum ko to buhat naazuk baal
Dil mera kya wohi ay sheesha-e-giraan hai keh jo tha
Jaan de baithe they ik baar havas vaale bhi
Phir wohi marhala-e- suud-o-ziyaan hai keh jo tha
Aaj bhi said-gaah-e-ishq main hussn-e-saffaak
Liye aabro ki lachakti si kamaan hai keh jo tha
Phir teri chashm-e-sukhan-sanj ne chairri koi baat
Wohi jaado hai wohi husn-e-bayaan hai keh jo tha
Raat bhar husn pr aaye bhi gaye sau sau rang
Shaam se ishq abhi tak nigaraan hai keh jo tha
Jo bhi kar jaur-o-sitam jo bhi kar ehsaan-o-karam
Tujh pe ay dost wohi vehm-o-gumaan hai keh jo tha
Aankh jhapki ke idhar khatm hoa roz-e-visaal
Phir bhi iss din pe qayamat ka gumaan hai keh jo tha
Qurb hi kam hai na dosri hi zeyada lekin
Aaj woh rabt ka ehsaas kahaan hai keh jo tha
Teera-bakhti nahin jaati dil-e-sozan ki Firaq
Shamaa ke sar pe wohi aaj dhuvaan hai keh jo tha.......!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Aaj bhi qaafila-e-ishq rawaan hai keh jo tha Wohi meel aur wohi sang-e-nishaan keh jo tha”
Post a Comment