Friday, 9 October 2015
Baam-E-Aqsa Se Chala Rashk-E-Qamar Aaj Ki Raat, Farsh-E-Rah Ho Gai Taron Ki Nazar Aaj Ki Raat
Poet Wasif Ali Wasif
=============
MERAJ KI RAAT
=============
Baam-E-Aqsa Se Chala Rashk-E-Qamar Aaj Ki Raat,
Farsh-E-Rah Ho Gai Taron Ki Nazar Aaj Ki Raat,
MISLOKUM Hi Sahi Insan Magar Aaj Ki Raat,
Arsh Par Karne Gia Hai Basar Aaj Ki Raat,
QABA QAOSAIN Se Adna Hai Maqam-E-Mahmood,
Sar Nigoon Kar Gai Adraak Ka Sar Aaj Ki Raat,
Ishq-E-Betab Ki Kia Bat Hai ALLAH ALLAH,
Khul Gaye Gunbad-E-Aflak K Dar Aaj Ki Raat,
Shab-E-ASRAA Pe Hon Qurban Hazaron Ratein,
Bazm-E-Hasti Ki Hai Ta Binda Sahar Aaj Ki Raat,
Bekhabar Rifat-E-Aadam Se Hai Jibrail-E-Aameen,
Manzal-E-Sidra Hoi Gird-E-Safar Aaj Ki Raat,
MARHABA SIYADAI MAKI MADANI UL ARABI,
ARSH SE LAYE DUAON KA ASAR AAJ KI RAAT,
Hussn Hai Had-E-Ta'aun Se WARAA Aaj Ki Raat,
Chal Dia Soo-E-Khuda Noor-E-Khuda Aaj Ki Raat,
Aaj Ki Rat Hai Takmeel-E-Arooj-E-Aadam,
Husn-E-Takhleeq Pe Na Zaan Hai Khuda Aaj Ki Raat,
Aa Gia Josh Mein Rahmat Ka Samandar AMISHB,
Ganj-E-Makhfi Howa Ma'ail Pa Atta Aaj Ki Raat,
Nikehat-O-Noor Mein Dhalne Lage Lamat-E-Jamal,
Chashm-E-Fitrat Hoi Hairaan Ba Khuda Aaj Ki Raat,
Dil Dharakte Hain Sataon Ki Qamar Chashm-E-Barah,
Hoor-O-Ghulma Ne Kaha SAL-E-AALA Aaj Ki Raat,
Khushbo-E-Gaisoo-E-WALLAIL Se Mehka Aalam,
Chashm MAZAGHA Hoi Jalwa Numa Aaj Ki Raat,
BAZM-E-RANDAAN NA HOI WARNA YE KEHTA,
WASIF
HUSN KHUD SHOKHI-E-RINDANA HOWA AAJ KI RAAT,
Dam Bakhud Gardish-E-Aflak-O-Zameen Aaj Ki Raat,
Sar Nigoon Chand Sataron Ki Jabeen Aaj Ki Raat,
Jagmagata Hi Rahe Arsh-E-Bareen Aaj Ki Raat,
La Makaan Mein Howa Insan Makeen Aaj Ki Raat,
Shoq-E-Deedar Ki Kia Bat Hai ALLAH ALLAH,
Darmian MEEM Ka Parda Bhi Nahi Aaj Ki Raat,
Manzal-E-Sidra Se Aage Hai Maqam-E-Mahmood,
Dekhte Rah Gaye Jibrail-E-Ameen Aaj Ki Raat,
Hoor-O-Ghilman-O-Malaik Ki Zaban Par Aaya,
Hussn Hai Had-E-Ta'aiun Se Haseen Aaj Ki Raat,
Jane Wala Usay Samjhe K Bulane Wala,
Koi Is Raz Ka Humraz Nahi Aaj Ki Raat,
Rifat-E-Sahib-E-LAOLAAK (S.A.W.W) Koi Kia Samjhe,
Khak Par Ghasti Rahi Aqal-E-Jabeen Aaj Ki Raat,
AAJ KI RAT DUA MAANG RAHA HAI,
WASIF
KAR ATTA RAB-E-OOLA FATH-E-MOBEEN AAJ KI RAAT...................!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Baam-E-Aqsa Se Chala Rashk-E-Qamar Aaj Ki Raat, Farsh-E-Rah Ho Gai Taron Ki Nazar Aaj Ki Raat”
Post a Comment