Sunday, 11 October 2015
Jum K Baithain Kabhi Aaisi Bhi Mulakat To Ho, Tum Kaho Shaam Hoi Main Kahun Raat To Ho
Poet:
Naseer O Deen Naseer
Jum K Baithain
Kabhi Aaisi Bhi
Mulakat To Ho,
Tum Kaho Shaam
Hoi Main Kahun
Raat To Ho.*
Kum Sy Kum Ghair
Sy Yun Hans K Na
Ho Sar Goshi,
Apki Bazm Main
Itni Meri Oqaat To
Ho.*
Mujh Pay Ye Barish
E Altaaf Aadu Bhi
Daikhay,
Ho Na Ho Koi Magr
Aaj Wo Kum Zaat To
Ho.*
Bay Sabab Tark E
Ta'alluq Pay Utar
Aaye Tum,
Koi Ranjish Ka
Kareena Ho Koi
Baat To Ho.*
Bada E Naab Ka Kya
Hai Wo To Pee Hi
Lain Gay,
Maherban Pahle
Magr Peer E Kharabat
To Ho.*
Aaj Aaye Hai Tujhe
Daikhne Tere Saa'il,
Dil K Kashkool Main
Deedaar Ki Khairaat
To Ho.*
Jaan O Dil Lay K Faqt
Aay Ho Mahfil Main
"Naseer",
Daikh Laina Tha Koi
Kaam Ki Sogaat To
Ho....
Book
Paimaan E Shab
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Jum K Baithain Kabhi Aaisi Bhi Mulakat To Ho, Tum Kaho Shaam Hoi Main Kahun Raat To Ho”
Post a Comment