Friday, 19 February 2016

Agar ansoo baha deta, to us ke pass kia rehta woh mujh ko hosla deta,to us ke pass kia rehta



Agar ansoo baha deta, to us ke pass kia rehta

woh mujh ko hosla deta,to us ke pass kia rehta

nishan mujh ko nahi milta koi us tak pohachnay ka

mujhay apna pata deta, to us ke pass kia rehta

woh iss gumaan main tha kay jis kay dam par ab tak woh zinda ha

main us ka dil dukha deta ,to us kay pass kia rehta

musafir saray hi phal kha kay apni rah chal daitay

shajar tehni jhuka deta, to us ke pass kia rehta

meri yaadon nay hi ab tak usay abaad rakha hai

woh mujh ko bhi bhula deta, to us k pass kia rehta


0 Responses to “Agar ansoo baha deta, to us ke pass kia rehta woh mujh ko hosla deta,to us ke pass kia rehta”

Post a Comment