Thursday, 11 February 2016
Dil se gai na kabhi chah tumhari aankho ki Khwabon ko mili na panah tumhari aankhon ki
Dil se gai na kabhi chah tumhari aankho ki
Khwabon ko mili na panah tumhari aankhon ki
Bhatakta raha hun humesha hi dar badar yun hi mai
Kabhi mila na koi raah tumhari aankhon ki
Tum dekh na sake kabhi mujhe apno ki nazar se
Meri her nigah rahi humraah tumhari aankhon ki
Ek nazar me taumra ko hum khud se alag ho gaye
Her sada hi karti rahi gumrah tunhari aankhon ki
Hum to hota rahe katla tumhari chahat me sada hi
Her aarzu karti rahi gumrah tumhari aankhon ki
Tumne nikala tinke ke jaise aankh se mujh ko
Aaj bhi khwaish hai bepanah tumhari aankhon ki
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Dil se gai na kabhi chah tumhari aankho ki Khwabon ko mili na panah tumhari aankhon ki”
Post a Comment