Monday, 15 February 2016
Muhabbat phoolon ka daman khushiyon ka angan lehrata anchal taaron ki zia
Muhabbat
phoolon ka daman
khushiyon ka angan
lehrata anchal
taaron ki zia
khushbo ki rida...dill us py fida
wo yaar wo humdam
jissy chahy dill pal pal
jis k daikhy mehak jaein behak jaein sabhi armaan
jagny lagein sabhi khaab
sabhi khahishein
aur chahat ki ghunghro pehn
raqsam dharkan
behakty Arman
machalty khaab
mohabbat oos ki soorat
jal thaal man k angan
mehakaey behkaey
mohabbat phoolon ka daman
khushiyon ka angan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Muhabbat phoolon ka daman khushiyon ka angan lehrata anchal taaron ki zia”
Post a Comment