Tuesday, 9 February 2016
Uske dushman hain bahut aadmi achcha hoga Woh bhee meri tarah sheher mein akela hoga
Uske dushman hain bahut aadmi achcha hoga
Woh bhee meri tarah sheher mein akela hoga
Itna sach bol ke hoton se tabassum na bujhe
Roshani khatam na kar aage andhera hoga
Pyaas jis nehar se takraaii woh banjar nikli
Jis ko peeche kahin chorrh aaye woh dariya hoga
Mere baare mein koyee raae to hogi uskee
Usne mujhko bhee kabhee torrh ke dekha hoga
Ek mehfil mein kayee mehfilein hotee hain shareek
Jis ko bhee pass se dekhoge akela hoga
Nida Fazli
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Uske dushman hain bahut aadmi achcha hoga Woh bhee meri tarah sheher mein akela hoga”
Post a Comment