Sunday, 21 April 2013
Mein Ne Aghaz Se Anjam-E-Safar Jana Hai
Poet Ahmad Faraz
Mein Ne Aghaz Se Anjam-E-Safar Jana Hai,
Sab Ko Do Chaar Qadam Chal K Theher Jana Hai,
Gham Wo Sehra-E-Tamana K Bagole Ki Tarha,
Jis Ko Manzil Na Mili Us Ko Bikhar Jana Hai,
Teri Nazron Mein Mere Dard Ki Qeemat Kia Thi,
Mere Daman Ne To Aanso Ko Guhor Jana Hai,
Ab K Bichre To Na Pehchan Sakain Gay Chehre,
Meri Chahat Tere Pinda Ko Mar Jana Hai,
Jane Wale Ko Na Roko K Bharam Reh Jaye,
Tum Pukaro Bhi To Kab Us Ko Thehr Jana Hai,
Tez Soraj Mein Chale Aate Hain Meri Janib,
Doston Ne Mujhe Sehra Ka Shajar Jana Hai,
Zindagi Ko Bhi Tere Dar Se Bhikari Ki Tarha,
Aik Pal K Liye Rukna Hai Guzar Jana Hai,
Apni Afsurda Mizaji Ka Bura Ho K, FARAZ
Waqiya Koi Bhi Ho Aankh Ko Bhar Jana Hai...................!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Mein Ne Aghaz Se Anjam-E-Safar Jana Hai”
Post a Comment