Thursday, 18 April 2013

Mujhe Acha Bahut Laga (Taloo-E-Ashk)


 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Maghroor Hi Sahi Mujhe Acha Bahut Laga,

Wo Ajnabi To Tha Magar Apna Bahut Laga,

Rootha Howa Tha Hans To Para Mujh Ko Dekh Kar,

Mujh Ko To Is Qadar Bhi Dilasa Bahut Laga,

Sehra Mein Jee Raha Tha Jo Daria Dili K Sath,

Dekha Jo Gharoor Se To Wo Pyasa Bahut Laga,

Wo Jis K Dam Se Thi Basti Ki Rounaqain,

Basti Ujar Gai To Akela Bahut Laga,

Lipta Howa Ho Jaise Kahar Main Khizan Ka Chand,

Maile Libas Mein Bhi Wo Pyara Bahut Laga,

Resham Pahan K Bhi Meri Qeemat Na Bar Saki,

Qhadar Bhi Is K Jism Par Mehanga Bahut Laga,

Jab Aaine Pai Mere Sansain Jam Gai,

MOHSIN

Mujh Ko Khud Apna Aks Bhi Dhundla Bahut Laga..............! 

 

Book Taloo-E-Ashk

 

0 Responses to “Mujhe Acha Bahut Laga (Taloo-E-Ashk)”

Post a Comment