Sunday, 21 April 2013
Rait se but na bana ay mere ache fankar
Poet Ahmad Nadeem Qasmi
Type By
*Red.Rose*
Rait se but na bana ay mere ache fankar
ek lamhe ko thehr main tujhe pathar la don
main tere samne ambaar laga don lekin
kon se rang ka pathar tere kam aye ga
surkh pathar jise dil kahti hai bedil dunia
ya wo patharai hoi aankh ka neela pathar
jis mein sadion k tahayour k pare hon
dore kia tujhe roh k pathar ki zaroorat ho gi
jis pe haq bat bhi pathar ki tarah girti hai
ik wo pathar hai jise kahte hain tahazib-e-safed
us k marmar main siyah Khoon jhalak jata hai
ik insaf ka pathar bhi to hota hai magar
hath mein tesha-e-zar ho to wo hath ata hai
jitne mayar hain is dour k sab pathar hain
sher bhi raqs bhi tasvir-o-gina bhipatthar
mere ilham tera zahan-e-rasa bhi pathar
is zamane main har fan ka nishan pathar hai
hath pathar hain tere meri zuban pathar hai
rait se but na bana ay mere ache fankar.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Rait se but na bana ay mere ache fankar”
Post a Comment